Aadmi!

aadmi ka jism kya hai jis pe shaida hai jahaan !
aik matti ki emarat aik matti ka makaan !
khoon ka gara bana hai eent jis mein haddiyan !
chund saanson per khara hai yeh khayali aasman !
maut ki purzoor aandhi jab is say takraye gi !
yeh emarat toot kr phir khaak mein mil jaye gi !
yeh jo kuch dekhta hai too fareb e khuwab e hasti hai !
takhayyul ke karishme hein bulandi hai na pasti hai !
ajab dunya e hairat, aalam e daur e ghareeba hai !
ye weerane ka weerana hai aur basti ki basti hai !
wohi hum thay kabhi jo raat din pholoon mein tultey thay !
wohi hum hein ke turbat chaar pholon ko tarasti hai !